Yagana Changezi
Ghazal 70
Sher-o-Shayari 60
ġhālib aur mīrzā 'yagānā' kā
aaj kyā faisla kare koī
ghaalib aur mirza 'yagana' ka
aaj kya faisla kare koi
-
Share this
- See Ghazal
mujhe ai nāḳhudā āḳhir kisī ko muñh dikhānā hai
bahāna kar ke tanhā paar utar jaanā nahīñ aatā
mujhe ai naKHuda aaKHir kisi ko munh dikhana hai
bahana kar ke tanha par utar jaana nahin aata
-
Share this
- See Ghazal
saaqī maiñ dekhtā huuñ zamīñ āsmāñ kā farq
arsh-e-barīñ meñ aur tire āstāne meñ
saqi main dekhta hun zamin aasman ka farq
arsh-e-barin mein aur tere aastane mein
-
Share this
- See Ghazal
Rubai 31
BOOKS 41
Image Shayari 5
baiThaa huu.n paa.nv to.D ke tadbiir dekhnaa manzil qadam se lipTii hai taqdiir dekhnaa aavaaze mujh pe kaste hai.n phir bandagaan-e-ishq pa.D jaa.e phir na paa.nv me.n zanjiir dekhnaa murdo.n se shart baa.ndh ke so.ii hai apnii maut haa.n dekhnaa zaraa falak-e-piir dekhnaa hosh u.D na jaa.e.n san.at-e-behzaad dekh kar aa.iina rakh ke saamne tasviir dekhnaa parvaane kar chuke the sar-anjaam KHud-kushii faanuus aa.De aa gayaa taqdiir dekhnaa shaayad KHudaa-na-KHaasta aa.nkhe.n daGaa kare.n achchhaa nahii.n navishta-e-taqdiir dekhnaa baad-e-muraad chal chukii la.ngar uThaa.o 'yaas' phir aage ba.Dh ke KHuubii-e-taqdiir dekhnaa
mujhe dil kii KHataa par 'yaas' sharmaanaa nahii.n aataa paraayaa jurm apne naam likhvaanaa nahii.n aataa mujhe ai naaKHudaa aaKHir kisii ko mu.nh dikhaanaa hai bahaana kar ke tanhaa paar utar jaanaa nahii.n aataa musiibat kaa pahaa.D aaKHir kisii din kaT hii jaa.egaa mujhe sar maar kar teshe se mar jaanaa nahii.n aataa dil-e-be-hausla hai ik zaraa sii Thes kaa mehmaa.n vo aa.nsuu kyaa piyegaa jis ko Gam khaanaa nahii.n aataa saraapaa raaz huu.n mai.n kyaa bataa.o.n kaun huu.n kyaa huu.n samajhtaa huu.n magar duniyaa ko samjhaanaa nahii.n aataa