vabaa ke dino.n me.n 2
muKHtasar kar jaatii hai zindagii ko har mulaaqaat
ban jaataa hai murkkab KHauf-e-KHudaa me.n KHauf-e-vabaa
ba.Dh jaatii hai ahmiyat me.n mohabbat se mudaafa.at
kho baiThte hai.n currency note tak apnii vaq.at
rah jaataa hai jam.a bahut saa maut ke ba.ad kaa raashan
chalii jaatii hai.n naqaabo.n tale khulii muskuraahaTe.n
miT jaatii hai musaafho.n aur mu.aanqo.n kii mulamma.a-kaarii
ruuTh jaataa hai badan se lams kaa rizq
duur ho jaataa hai apnaa chehra apne haath se
mukammal hotii hai vabaa ke dino.n me.n tanhaa.ii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.