Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal 53
Sher-o-Shayari 74
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
-
Share this
- See Ghazal
apne begāne se ab mujh ko shikāyat na rahī
dushmanī kar ke mire dost ne maarā mujh ko
apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi
dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
ai be-ḳhudi-e-dil mujhe ye bhī ḳhabar nahīñ
kis din bahār aa.ī maiñ dīvāna kab huā
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin
kis din bahaar aai main diwana kab hua
-
Share this
- See Ghazal
āḳhir insān huuñ patthar kā to rakhtā nahīñ dil
ai buto itnā satāo na ḳhudā-rā mujh ko
aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil
ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
dast-e-junūñ ne phaaḌ ke pheñkā idhar-udhar
dāman abad meñ hai to garebāñ azal meñ hai
dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar
daman abad mein hai to gareban azal mein hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 14
Image Shayari 1
thaa qasd-e-qatl-e-Gair magar mai.n talab hu.aa jallaad mehrbaan hu.aa kyaa sabab hu.aa afsos kuchh na merii rihaa.ii kaa Dhab hu.aa chhuuTaa udhar qafas se idhar mai.n talab hu.aa tashriif laa.e aap jo mai.n jaa.n-ba-lab hu.aa us vaqt ke bhii aane kaa mujh ko ajab hu.aa niklegii ab na hasart-e-qatl ai nigaah-e-yaas qaatil ko rahm aa gayaa mujh par Gazab hu.aa ho jaa.egaa kuchh aur hii rang ahl-e-hashr kaa qaatil se KHuu.n-bahaa jo hamaaraa talab hu.aa shaayad ba.Dhaa.ii.n yaar ne mannat kii be.Diyaa.n ab kii mujhe junuu.n na hu.aa kyaa sabab hu.aa pinhaa.n tamaam zulmat-e-kufr-o-sitam hu.ii taale.a juu.nhii vo mehr-e-sip.har-e-arab hu.aa ham Duub jaa.e.nge araq-e-infi.aal me.n a.amaal-naama hashr me.n jis dam talab hu.aa itnaa to jazb-e-dil ne dikhaayaa mujhe asar chain us ko bhii na aayaa mai.n betaab jab hu.aa rote the aql-o-hosh hii ko ham to ishq me.n lo ab to dil se sabr bhii ruKHsat-talab hu.aa ai be-KHudii-e-dil mujhe ye bhii KHabar nahii.n kis din bahaar aa.ii mai.n diivaana kab hu.aa shaadii shab-e-visaal kii maatam hu.ii mujhe ha.ngaam-e-sub.h-e-yaar jo ruKHsat-talab hu.aa bose dikhaa dikhaa ke hame.n le rahaa hai ye kyuu.n itnaa be-lihaaz tiraa KHaal-e-lab hu.aa kyaa jaan kar malaal diye kab kaa thaa Gubaar kis roz aasmaa.n se mai.n raahat-talab hu.aa duniyaa me.n ai 'qalaq' jo pur-armaan ham rahe naashaad naa-muraad hamaaraa laqab hu.aa