Hafeez Merathi
Ghazal 15
Sher-o-Shayari 20
vo vaqt kā jahāz thā kartā lihāz kyā
maiñ dostoñ se haath milāne meñ rah gayā
wo waqt ka jahaz tha karta lihaz kya
main doston se hath milane mein rah gaya
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
raat ko raat kah diyā maiñ ne
sunte hī baukhlā ga.ī duniyā
raat ko raat kah diya main ne
sunte hi baukhla gai duniya
- Add to favorites
-
Share this
ik ajnabī ke haath meñ de kar hamārā haath
lo saath chhoḌne lagā āḳhir ye saal bhī
ek ajnabi ke hath mein de kar hamara hath
lo sath chhoDne laga aaKHir ye sal bhi
- Add to favorites
-
Share this
shīsha TuuTe ġhul mach jaa.e
dil TuuTe āvāz na aa.e
shisha TuTe ghul mach jae
dil TuTe aawaz na aae
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ye bhī to sochiye kabhī tanhā.ī meñ zarā
duniyā se ham ne kyā liyā duniyā ko kyā diyā
ye bhi to sochiye kabhi tanhai mein zara
duniya se hum ne kya liya duniya ko kya diya
- Add to favorites
-
Share this
BOOKS 9
Image Shayari 2
aabaad rahe.nge viiraane shaadaab rahe.ngii zanjiire.n jab tak diivaane zinda hai.n phuule.ngii phale.ngii zanjiire.n aazaadii kaa darvaaza bhii KHud hii khole.ngii zanjiire.n Tuk.De Tuk.De ho jaa.e.ngii jab had se ba.Dhe.ngii zanjiire.n jab sab ke lab sil jaa.e.nge haatho.n se qalam chhin jaa.e.nge baatil se lohaa lene kaa elaan kare.ngii zanjiire.n andho.n bahro.n kii nagrii me.n yuu.n kaun tavajjoh kartaa hai maahaul sunegaa dekhegaa jis vaqt baje.ngii zanjiire.n jo zanjiiro.n se baahar hai.n aazaad unhe.n bhii mat samjho jab haath kaTe.nge zaalim ke us vaqt kaTe.ngii zanjiire.n
lahuu se apne zamii.n laala-zaar dekhte the bahaar dekhne vaale bahaar dekhte the suruur ek jhalak kaa tamaam umr rahaa havas-parast the jo baar baar dekhte the kabhii kabhii hame.n duniyaa hasiin lagtii thii kabhii kabhii tirii aa.nkho.n me.n pyaar dekhte the chalaa vo daur-e-sitam ghar me.n chhup ke baiTh ga.e jo har saliib ko mardaana-vaar dekhte the