Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iffat Zarrin's Photo'

Iffat Zarrin

1958 | Delhi, India

Iffat Zarrin

Ghazal 9

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 7

zehn o dil ke fāsle the ham jinheñ sahte rahe

ek ghar meñ bahut se ajnabī rahte rahe

zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe

ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe

patthar ke jism mom ke chehre dhuāñ dhuāñ

kis shahr meñ uḌā ke havā le ga.ī mujhe

patthar ke jism mom ke chehre dhuan dhuan

kis shahr mein uDa ke hawa le gai mujhe

vo mil gayā to bichhaḌnā paḌegā phir 'zarrīñ'

isī ḳhayāl se ham rāste badalte rahe

wo mil gaya to bichhaDna paDega phir 'zarrin'

isi KHayal se hum raste badalte rahe

  • Share this

dekh kar insān bechārgī

shaam se pahle parinde so ga.e

dekh kar insan ki bechaargi

sham se pahle parinde so gae

vo mujh ko bhuul chukā ab yaqīn hai varna

vafā nahīñ to jafāoñ silsila rakhtā

wo mujh ko bhul chuka ab yaqin hai warna

wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta

BOOKS 8

 

RELATED Authors

More Authors From "Delhi"

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now