Khursheed Rizvi
Ghazal 64
Nazm 15
Sher-o-Shayari 27
haiñ mirī raah kā patthar mirī āñkhoñ kā hijāb
zaḳhm bāhar ke jo andar nahīñ jaane dete
hain meri rah ka patthar meri aankhon ka hijab
zaKHm bahar ke jo andar nahin jaane dete
-
Share this
- See Ghazal
ham ki apnī raah kā patthar samajhte haiñ use
ham se jaane kis liye duniyā na Thukrā.ī ga.ī
hum ki apni rah ka patthar samajhte hain use
hum se jaane kis liye duniya na Thukrai gai
-
Share this
- See Ghazal
maqām jin kā muarriḳh ke hāfize meñ nahīñ
shikast o fat.h ke mā-bain marhale ham log
maqam jin ka muarriKH ke hafize mein nahin
shikast o fath ke ma-bain marhale hum log
-
Share this
- See Ghazal
nusḳha-e-marham-e-iksīr batāne vaale
tū mirā zaḳhm to pahle mujhe vāpas kar de
nusKHa-e-marham-e-iksir batane wale
tu mera zaKHm to pahle mujhe wapas kar de
-
Share this
- See Ghazal
tumhārī bazm se tanhā nahīñ uThā 'ḳhurshīd'
hujūm-e-dard kā ik qāfila rikāb meñ thā
tumhaari bazm se tanha nahin uTha 'KHurshid'
hujum-e-dard ka ek qafila rikab mein tha
-
Share this
- See Ghazal