ALL
Profile
Ghazal58
Nazm23
Sher31
E-book42
Image Shayari4
Audio25
Video27
Children's Story6
Blog1
Doha7
Dohe of Kishwar Naheed
aañkh kī putlī sab kuchh dekhe dekhe na apnī zaat
ujlā dhāgā mailā hove lageñ jo maile haat
aankh ki putli sab kuchh dekhe dekhe na apni zat
ujla dhaga maila howe lagen jo maile hat
suut ke kachche dhāge jaise rishte par itrā.ūñ
sājan haath bhī chhū leñ to maiñ phuul gulāb ban jā.ūñ
sut ke kachche dhage jaise rishte par itraun
sajan hath bhi chhu len to main phul gulab ban jaun
maiñ bahrī thī kaagā bolā sun na sakī sandesh
dil kahtā hai kal ā.eñge piyā badal ke bhes
main bahri thi kaga bola sun na saki sandesh
dil kahta hai kal aaenge piya badal ke bhes
takiya bhīgā saañs bhī Duubī murjhā.ī har aas
dil ko raah pe laane kī har aas banī sanyās
takiya bhiga sans bhi Dubi murjhai har aas
dil ko rah pe lane ki har aas bani sanyas
prem kiyā aur saath na chhoTā kaise the vo log
ham ne pyāroñ kā ab tak dekhā na sanjog
prem kiya aur sath na chhoTa kaise the wo log
hum ne pyaron ka ab tak dekha na sanjog
tapte lamhe dahakte chehre sab kuchh dhyān meñ lā.ūñ
pattī pattī chāhe toḌūñ dil kā bojh haTā.ūñ
tapte lamhe dahakte chehre sab kuchh dhyan mein laun
patti patti chahe toDun dil ka bojh haTaun
ThanDī raat aur ThanDā bistar sakhī-rī kāñTe aa.e
log kaheñ jo dukh sāñjhe hoñ dil halkā ho jaa.e
ThanDi raat aur ThanDa bistar sakhi-ri kanTe aae
log kahen jo dukh sanjhe hon dil halka ho jae