Krishna Mohan
Ghazal 32
Nazm 34
Sher-o-Shayari 9
vo kyā zindagī jis meñ joshish nahīñ
vo kyā aarzū jis meñ kāvish nahīñ
wo kya zindagi jis mein joshish nahin
wo kya aarzu jis mein kawish nahin
-
Share this
- See Ghazal
zindagī ke āḳhirī lamhe ḳhushī se bhar gayā
ek din itnā hañsā vo hañste hañste mar gayā
zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya
ek din itna hansa wo hanste hanste mar gaya
-
Share this
- See Ghazal
kirshn 'mohan' ye bhī hai kaisā akelā-pan ki log
maut se Darte haiñ maiñ to zindagī se Dar gayā
kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisa akela-pan ki log
maut se Darte hain main to zindagi se Dar gaya
-
Share this
- See Ghazal
makāñ andar se ḳhasta ho gayā hai
aur is meñ ek rasta ho gayā hai
makan andar se KHasta ho gaya hai
aur is mein ek rasta ho gaya hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 29
Image Shayari 1
chaahato.n kaa jahaan hai urdu raahato.n kaa nishaan hai urdu ishq kaa e'tibaar aur vaqaar husn kii aan-baan hai urdu dil-fazaa zau-kada sabaahat kaa aur malaahat kii kaan hai urdu nasr kaa hai KHiraam-e-KHush-ha.ngaam shaa.irii kii u.Daan hai urdu zinda hai apnaa zauq-o-shauq is se aarzuu.o.n kii jaan hai urdu lutf hastii kaa rang mastii kaa KHushnumaa kaarvaan hai urdu zikr-e-aaraa.ish-e-KHam-e-kaakul kaif-e-hindostaan hai urdu daftar-e-ittihaad-o-yak-jehtii pyaar kii daastaan hai urdu ektaa hai anektaa me.n bhii dost-daarii kaa maan hai urdu 'Gaalib'-o-'miir' is ke shaidaa the jin kii ruuh-e-ravaan hai urdu 'aatish' o 'momin' o 'naziir' o 'jigar' jin kii ra.ngii.n zabaan hai urdu is ke aashiq 'nasiim' aur chakbast jin ke jazbo.n kii shaan shaan hai urdu dost is ke 'suruur' aur 'sarshaar' is liye shaadmaan hai urdu dard-ma.nd is ke 'premchand' rahe jin ke baa.is javaan hai urdu is ke mushtaaq 'mullaa' aur 'firaaq' jin ke dil kaa bayaan hai urdu na.ara-zan 'josh' kaa KHarosh is me.n josh kii tarjumaan hai urdu 'faiz' o 'iqbaal' o kirshn-chandar se vus.at-e-be-karaan hai urdu dhuum 'mahruum' kii hu.ii is me.n aur 'munavaar' kii aan hai urdu 'raashid' o 'miiraa-jii' kii albelii shoKH-adaa raazdaan hai urdu fitnat-o-fan kii daulat-e-bedaar 'krishn-mohan' kii jaan hai urdu