- Index of Books 187952
-
-
Book Categories
-
Activities49
Children's Literature2063
Drama1021 Education375 Essays & Profiles1488 Fiction1693 Health105 History3537Humorous742 Journalism215 Language & Literature1961 Letters810
Life Style23 Medicine1026 Movements300 Novel5016 Political370 Religions4818Research & Criticism7279Short-story3046 Sketches291 Social issues118 Sufism / Mystic2267Text Books564 Translation4537Women's writings6348-
Book Categories
- Bait Bazi14
- Catalogue / Index5
- Couplets69
- Deewan1488
- Doha53
- Epics106
- Exegesis208
- Geet63
- Ghazal1320
- Haiku12
- Hamd53
- Humorous37
- Intikhab1649
- Keh mukarni7
- Kulliyat712
- Mahiya19
- Majmua5285
- Marsiya397
- Masnavi879
- Musaddas59
- Naat594
- Nazm1304
- Others77
- Paheli16
- Qasida199
- Qawwali18
- Qit'a71
- Quatrain306
- Quintuple16
- Rekhti13
- Remainders27
- Salaam35
- Sehra10
- shahr-Ashob, Hajw, Zatal Nama20
- Tareekh-Goi30
- Translation74
- Wasokht28
Sher of Mohammad Daood Mohsin
kaun apnā hai yahāñ kaun parāyā kahiye
kaun detā hai bhalā dukh meñ sahārā kahiye
Mohammad Daood Mohsinkaun apna hai yahan kaun paraya kahiye
kaun deta hai bhala dukh mein sahaara kahiye
maiñ chāhtā huuñ tumheñ apnī zindagī kī tarah
mire vajūd pe chhā jaao chāñdnī kī tarah
Mohammad Daood Mohsinmain chahta hun tumhein apni zindagi ki tarah
mere wajud pe chha jao chandni ki tarah
har ek shaam sañvar jā.egī mirī 'mohsin'
har ek baat tumhārī hai shā.irī kī tarah
Mohammad Daood Mohsinhar ek sham sanwar jaegi meri 'mohsin'
har ek baat tumhaari hai shairi ki tarah
afsāna dard-o-ġham kā sunāyā na jā.egā
ab zaḳhm-e-dil kisī ko dikhāyā na jā.egā
Mohammad Daood Mohsinafsana dard-o-gham ka sunaya na jaega
ab zaKHm-e-dil kisi ko dikhaya na jaega
itne fareb khaa.e haiñ qurbat meñ yaar kī
'mohsin' fareb aur bhī khāyā na jā.egā
Mohammad Daood Mohsinitne fareb khae hain qurbat mein yar ki
'mohsin' fareb aur bhi khaya na jaega
zindagī TuuT ke bikhrī hai sar-e-rāh abhī
hādisa kahiye ise yā ki tamāshā kahiye
Mohammad Daood Mohsinzindagi TuT ke bikhri hai sar-e-rah abhi
hadisa kahiye ise ya ki tamasha kahiye
nahīñ hai paas kisī kā kisī ko ai 'mohsin'
ki aazmā ki unheñ baar baar dekhā hai
Mohammad Daood Mohsinnahin hai pas kisi ka kisi ko ai 'mohsin'
ki aazma ki unhen bar bar dekha hai
sāre-jahāñ meñ qisse ye mash.hūr ho ga.e
bhaa.ī hamāre munkir-e-dastūr ho ga.e
Mohammad Daood Mohsinsare-jahan mein qisse ye mashhur ho gae
bhai hamare munkir-e-dastur ho gae
baat tere naam kī hone lagī
dil meñ mere sansanī hone lagī
Mohammad Daood Mohsinbaat tere nam ki hone lagi
dil mein mere sansani hone lagi
masnadeñ taḳht-o-tāj dastāreñ
kaun kis ke liye luTāte haiñ
Mohammad Daood Mohsinmasnaden taKHt-o-taj dastaren
kaun kis ke liye luTate hain
zaḳhm-e-dil dāġh-e-jigar dāġh-e-tamannā kī qasam
chāñd se phuul se Dar ham ko yahāñ hotā hai
Mohammad Daood MohsinzaKHm-e-dil dagh-e-jigar dagh-e-tamanna ki qasam
chand se phul se Dar hum ko yahan hota hai
har taraf dard kā aahoñ kā samāñ hotā hai
paanī jaltā hai samundar meñ dhuāñ hotā hai
Mohammad Daood Mohsinhar taraf dard ka aahon ka saman hota hai
pani jalta hai samundar mein dhuan hota hai
rafāqatoñ kā jahāñ tār-tār dekhā hai
vajūd-e-zīst kā uḌtā ġhubār dekhā hai
Mohammad Daood Mohsinrafaqaton ka jahan tar-tar dekha hai
wajud-e-zist ka uDta ghubar dekha hai
zabt kī thī shart dil se jaane kyuuñ
lamha lamha bekalī hone lagī
Mohammad Daood Mohsinzabt ki thi shart dil se jaane kyun
lamha lamha bekali hone lagi
lamha lamha pukāre jaate haiñ
kaun dil ke qarīb aate haiñ
Mohammad Daood Mohsinlamha lamha pukare jate hain
kaun dil ke qarib aate hain
kitnā ajīb-tar hai aqīda janāb kā
patthar kī mūratoñ se vafā maañg rahe ho
Mohammad Daood Mohsinkitna ajib-tar hai aqida janab ka
patthar ki muraton se wafa mang rahe ho
join rekhta family!
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
-
Activities49
Children's Literature2063
-
