Sher of Sahir Lakhnavi
kyuuñ merī tarah rātoñ ko rahtā hai pareshāñ
ai chāñd batā kis se tirī aañkh laḌī hai
kyun meri tarah raaton ko rahta hai pareshan
ai chand bata kis se teri aankh laDi hai
manzileñ paañv pakaḌtī haiñ Thaharne ke liye
shauq kahtā hai ki do chaar qadam aur sahī
manzilen panw pakaDti hain Thaharne ke liye
shauq kahta hai ki do chaar qadam aur sahi
kal to is ālam-e-hastī se guzar jaanā hai
aaj kī raat tirī bazm meñ ham aur sahī
kal to is aalam-e-hasti se guzar jaana hai
aaj ki raat teri bazm mein hum aur sahi