Dohe of Saleem Ansari
jurm-e-mohabbat kī milī ham ko ye pādāsh
apne kāñdhe par chale le kar apnī laash
jurm-e-mohabbat ki mili hum ko ye padash
apne kandhe par chale le kar apni lash
āñgan ke ik peḌ kī ThanDī mīThī chhāñv
shahr meñ jaise aa gayā chal kar merā gaañv
aangan ke ek peD ki ThanDi miThi chhanw
shahr mein jaise aa gaya chal kar mera ganw
mere chāroñ or the tarah tarah ke log
phir bhī mujh ko lag gayā tanhā.ī kā rog
mere chaaron or the tarah tarah ke log
phir bhi mujh ko lag gaya tanhai ka rog
rāteñ jañgal kī tarah aur din registān
merī jīvan yātrā kaise ho āsān
raaten jangal ki tarah aur din registan
meri jiwan yatra kaise ho aasan
is se baḌh kar aur kyā rishtoñ par dushnām
bhaa.ī aayā pūchhne mujh se merā naam
is se baDh kar aur kya rishton par dushnam
bhai aaya puchhne mujh se mera nam
ḳhush-fahmī kī dhuup meñ raushan jhūTī aas
añdhiyāre meñ reñgtā har sach kā vishvās
KHush-fahmi ki dhup mein raushan jhuTi aas
andhiyare mein rengta har sach ka wishwas
maiñ ne jis kī aañkh se dekhe apne ḳhvāb
ab us kā ehsās bhī mere liye azaab
main ne jis ki aankh se dekhe apne KHwab
ab us ka ehsas bhi mere liye azab
yādoñ ke sarmā.e par ḳhud se māñgūñ byaaj
yuuñ apnī tanhā.ī kā jashn manā.ūñ aaj
yaadon ke sarmae par KHud se mangun byaj
yun apni tanhai ka jashn manaun aaj
mandir masjid toḌiye lekin rahe ḳhayāl
shīshe meñ vishvās ke paḌ jaa.e na baal
mandir masjid toDiye lekin rahe KHayal
shishe mein wishwas ke paD jae na baal
rafta rafta ghul ga.ī merī soch kī barf
ya.anī maiñ ḳhud ho gayā apne hāthoñ sarf
rafta rafta ghul gai meri soch ki barf
yani main KHud ho gaya apne hathon sarf
sūraj Duubā aur phir utre kaale saa.e
peḌoñ kī āvāz par panchhī vāpas aa.e
suraj Duba aur phir utre kale sae
peDon ki aawaz par panchhi wapas aae