Dohe of Shams Farrukhabadi
ek bagūla saañs kā havā jise tairā.e
havā havā meñ jā mile bas maaTī rah jaa.e
ek bagula sans ka hawa jise tairae
hawa hawa mein ja mile bas maTi rah jae
āñkheñ dhokā de ga.iiñ paañv chhoḌ ga.e saath
sabhī sahāre duur haiñ kis kā pakḌeñ haath
aankhen dhoka de gain panw chhoD gae sath
sabhi sahaare dur hain kis ka pakDen hath
bhale bure bartāo kā hai itnā sā raaz
gūñje palaT ke jis tarah gumbad kī āvāz
bhale bure bartao ka hai itna sa raaz
gunje palaT ke jis tarah gumbad ki aawaz
bichhḌe huoñ ke aaj phir ḳhat kuchh aise aa.e
jaise paTrī rail kī duur pe ik ho jaa.e
bichhDe huon ke aaj phir KHat kuchh aise aae
jaise paTri rail ki dur pe ek ho jae