Dohe of Sheen Kaaf Nizam
yaad aa.ī pardes meñ us kī ik ik baat
ghar kā din hī din miyāñ ghar kī raat hī raat
yaad aai pardes mein us ki ek ek baat
ghar ka din hi din miyan ghar ki raat hi raat
ham 'kabīr' is kaal ke khaḌe haiñ ḳhālī haath
sañg kisī ke ham nahīñ aur ham sab ke saath
hum 'kabir' is kal ke khaDe hain KHali hath
sang kisi ke hum nahin aur hum sab ke sath
man raftār se bhāgtā jaatā hai kis or
palak jhapakte shaam hai palak jhapakte bhor
man raftar se bhagta jata hai kis or
palak jhapakte sham hai palak jhapakte bhor
man meñ dhartī sī lalak āñkhoñ meñ ākāsh
yaad ke āñgan meñ rahā chehre kā parkāsh
man mein dharti si lalak aankhon mein aakash
yaad ke aangan mein raha chehre ka parkash