Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sir Syed Ahmad Khan's Photo'

Sir Syed Ahmad Khan

1817 - 1898 | Aligarh, India

Eminent intellectual, statesman and educationist,founder of Aligarh Muslim University

Eminent intellectual, statesman and educationist,founder of Aligarh Muslim University

Sir Syed Ahmad Khan

Article 22

Quote 10

Be-ilmi muflisi ki maan hai. jis qaum mein ilm-o-hunar nahi rahta wahaan muflisi aati hai aur jab muflisi aati hai to hazaaron jurmon ke sarzad hone ka baais hoti hai.

(taqreer-e-jalsa-e-azeemaabaad paṭna, 26 may)

  • Share this

Jisko izzat hai usko ghairat hai, jisko ghairat hai usko izzat hai.

Hum log aapas mein kisi ko hindu, kisi ko musalmaan kahein magar ghair-mulk mein hum sab native yaani hindustaani kahlaaye jaate hain. ghair-mulk waale khuda-bakhsh aur ganga raam donon ko hindustaani kahte hain.

(taqreer-e-sir sayyad jo anjuman islamiya, amṛitsar ke address ke jawaab mein 26 January 1884 AD. ko ki gaee)

Bade bade hakeem aur aalim, wali-o-abdaal, nek-o-aql-mand, bahaadur-o-naam-var eik ganwaar aadmi ki si soorat mein chhupe hue hote hain magar unki ye tamaam khoobiyaan umda taaleem ke zariye se zaahir hoti hain.

(tahzeeb-ul-akhlaaq baabat yakum shawwaal 1289 hijri)

Sabse bada aib hum mein khud-gharzi ka hai aur yahi muqddama sabab qaumi zillat aur na-muhazzab hone ka hai. hum mein se har eik ko zroor hai ki rifaah-e-aam ka josh dil mein paida karein aur yaqeen janein ki khud-gharaz se tamaam qaum ki aur uske saath apni bhi barbaadi hogi.

BOOKS 251

RELATED Blog

More Authors From "Aligarh"

Recitation

Speak Now