Aashufta Changezi
Ghazal 33
Nazm 14
Sher-o-Shayari 36
arse se is dayār kī koī ḳhabar nahīñ
mohlat mile to aaj kā aḳhbār dekh leñ
arse se is dayar ki koi KHabar nahin
mohlat mile to aaj ka aKHbar dekh len
-
Share this
- See Ghazal
pahle hī kyā kam tamāshe the yahāñ
phir na.e manzar uThā laayā huuñ maiñ
pahle hi kya kam tamashe the yahan
phir nae manzar uTha laya hun main
-
Share this
- See Ghazal
saḌak pe chalte hue āñkheñ band rakhtā huuñ
tire jamāl kā aisā maza paḌā hai mujhe
saDak pe chalte hue aankhen band rakhta hun
tere jamal ka aisa maza paDa hai mujhe
-
Share this
- See Ghazal
tujh ko bhī kyuuñ yaad rakhā
soch ke ab pachhtāte haiñ
tujh ko bhi kyun yaad rakha
soch ke ab pachhtate hain
-
Share this
- See Ghazal
tujh se bichhaḌnā koī nayā hādsa nahīñ
aise hazāroñ qisse hamārī ḳhabar meñ haiñ
tujh se bichhaDna koi naya hadsa nahin
aise hazaron qisse hamari KHabar mein hain
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 8
jis se mil baiThe lagii vo shakl pahchaanii hu.ii aaj tak ham se yahii bas ek naadaanii hu.ii saik.Do.n parde uThaa laa.e the ham baazaar se gutthiyaa.n kuchh aur uljhii.n aur hairaanii hu.ii ham to samjhe the ki us se faasle miT jaa.e.nge KHud ko zaahir bhii kiyaa lekin pashemaanii hu.ii kyaa bataa.e.n fikr kyaa hai aur kyaa hai justujuu haa.n tabii.at din-ba-din apnii bhii sailaanii hu.ii kyuu.n khilaune TuuTne par aab-diida ho ga.e ab tumhe.n ham kyaa bataa.e.n kyaa pareshaanii hu.ii
itnaa kyuu.n sharmaate hai.n vaade aaKHir vaade hai.n likhaa likhaayaa dho Daalaa saare varaq phir saade hai.n tujh ko bhii kyuu.n yaad rakhaa soch ke ab pachhtaate hai.n ret mahal do chaar bache ye bhii girne vaale hai.n jaa.e.n kahii.n bhii tujh ko kyaa shahr se tere jaate hai.n ghar ke andar jaane ke aur ka.ii darvaaze hai.n u.nglii paka.D ke saath chale dau.D me.n ham se aage hai.n