ALL
Profile
Ghazal54
Nazm34
Sher57
Mazahiya Shayari1
E-book89
Image Shayari10
Audio10
Video18
Qita1
Rubai3
Blog2
Other
Akhtar Shirani
Ghazal 54
Nazm 34
Sher-o-Shayari 57
ġham-e-āqibat hai na fikr-e-zamāna
piye jā rahe haiñ jiye jā rahe haiñ
gham-e-aqibat hai na fikr-e-zamana
piye ja rahe hain jiye ja rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
pārsā.ī kī javāñ-margī na pūchh
tauba karnī thī ki badlī chhā ga.ī
parsai ki jawan-margi na puchh
tauba karni thi ki badli chha gai
-
Share this
- See Ghazal
Mazahiya Shayari 1
Qita 1
Rubai 3
BOOKS 89
Image Shayari 10
ai ishq kahii.n le chal is paap kii bastii se nafrat-gah-e-aalam se la.anat-gah-e-hastii se in nafs-parasto.n se is nafs-parastii se duur aur kahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ham prem pujaarii hai.n to prem kanhiyyaa hai to prem kanhiyyaa hai ye prem kii nayyaa hai ye prem kii nayyaa hai tuu is kaa khevayyaa hai kuchh fikr nahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! be-rahm zamaane ko ab chho.D rahe hai.n ham bedard aziizo.n se mu.nh mo.D rahe hai.n ham jo aas ki thii vo bhii ab to.D rahe hai.n ham bas taab nahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ye jabr-kada aazaad afkaar kaa dushman hai armaano.n kaa qaatil hai ummiido.n kaa rahzan hai jazbaat kaa maqtal hai jazbaat kaa madfan hai chal yaa.n se kahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! aapas me.n chhal aur dhoke sansaar kii riite.n hai.n is paap kii nagrii me.n uj.Dii hu.ii parte.n hai.n yaa.n nyaaye kii haare.n hai.n annyaaye kii jiite.n hai.n sukh chain nahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ik mazbah-e-jazbaat-o-afkaar hai ye duniyaa ik maskan-e-ashraar-o-aazaar hai ye duniyaa ik maqtal-e-ahraar-o-abraar hai ye duniyaa duur is se kahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ye dard bharii duniyaa bastii hai gunaaho.n kii dil-chaak umiido.n kii saffaak nigaaho.n kii zulmo.n kii jafaa.o.n kii aaho.n kii karaaho.n kii hai.n Gam se hazii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! aa.ankho.n me.n samaa.ii hai ik KHvaab-numaa duniyaa taaro.n kii tarah raushan mahtaab-numaa diyaa jannat kii tarah ra.ngii.n shaadaab-numaa duniyaa lillaah vahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! vo tiir ho saagar kii rut chhaa.ii ho phaagun kii phuulo.n se mahaktii ho purvaa.ii ghane ban kii yaa aaTh pahar jis me.n jha.D badlii ho saavan kii jii bas me.n nahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! qudarat ho himaayat par hamdard ho qismat bhii 'salmaa' bhii ho pahluu me.n 'salmaa' kii mohabbat bhii har shai se faraaGat ho aur terii inaayat bhii ai tifl-e-hasii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ai ishq hame.n le chal ik nuur kii vaadii me.n ik KHvaab kii duniyaa me.n ik tuur kii vaadii me.n huuro.n ke KHayaalaat-e-masruur kii vaadii me.n taa KHuld-e-barii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! sansaar ke us paar ik is tarah kii bastii ho jo sadiyo.n se insaa.n kii suurat ko tarastii ho aur jis ke nazaaro.n par tanhaa.ii barastii ho yuu.n ho to vahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! maGrib kii havaa.o.n se aavaaz sii aatii hai aur ham ko samundar ke us paar bulaatii hai shaayad ko.ii tanhaa.ii kaa des bataatii hai chal is ke qarii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ik aisii fazaa jis tak Gam kii na rasaa.ii ho duniyaa kii havaa jis me.n sadiyo.n se na aa.ii ho ai ishq jahaa.n tuu ho aur terii KHudaa.ii ho ai ishq vahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ek aisii jagah jis me.n insaan na baste ho.n ye makr o jafaa-pesha haivaan na baste ho.n insaa.n kii qabaa me.n ye shaitaan na baste ho.n to KHauf nahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! barsaat kii matvaalii ghanghor ghaTaa.o.n me.n kohsaar ke daaman kii mastaana havaa.o.n me.n yaa chaa.ndnii raato.n kii shaffaaf fazaa.o.n me.n ai zohra-jabii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! in chaa.nd sitaaro.n ke bikhre hu.e shahro.n me.n in nuur kii kirno.n kii Thahrii hu.ii nahro.n me.n Thahrii hu.ii nahro.n me.n so.ii hu.ii lahro.n me.n ai KHizr-e-hasii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal! ik aisii bahisht aa.ii.n vaadii me.n pahu.nch jaa.e.n jis me.n kabhii duniyaa ke Gam dil ko na ta.Dpaa.e.n aur jis kii bahaaro.n me.n jiine ke maze aa.e.n le chal tuu vahii.n le chal! ai ishq kahii.n le chal!
ai dil vo aashiqii ke fasaane kidhar ga.e vo umr kyaa hu.ii vo zamaane kidhar ga.e viiraa.n hai.n sahn o baaG bahaaro.n ko kyaa hu.aa vo bulbule.n kahaa.n vo taraane kidhar ga.e hai najd me.n sukuut havaa.o.n ko kyaa hu.aa lailaa.e.n hai.n KHamosh divaane kidhar ga.e uj.De pa.De hai.n dasht Gazaalo.n pe kyaa banii suune hai.n kohsaar divaane kidhar ga.e vo hijr me.n visaal kii ummiid kyaa hu.ii vo ranj me.n KHushii ke bahaane kidhar ga.e din raat mai-kade me.n guzartii thii zindagii 'aKHtar' vo be-KHudii ke zamaane kidhar ga.e
o des se aane vaalaa hai bataa o des se aane vaale bataa kis haal me.n hai.n yaaraan-e-vatan aavaara-e-Gurbat ko bhii sunaa kis rang me.n hai kan.aan-e-vatan vo baaG-e-vatan firdaus-e-vatan vo sarv-e-vatan raihaan-e-vatan o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii vahaa.n ke baaGo.n me.n mastaana havaa.e.n aatii hai.n kyaa ab bhii vahaa.n ke parbat par ghanghor ghaTaa.e.n chhaatii hai.n kyaa ab bhii vahaa.n kii barkhaa.e.n vaise hii dilo.n ko bhaatii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii vatan me.n vaise hii sarmast nazaare hote hai.n kyaa ab bhii suhaanii raato.n ko vo chaa.nd sitaare hote hai.n ham khel jo khelaa karte the kyaa ab vahii saare hote hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii shafaq ke saayo.n me.n din raat ke daaman milte hai.n kyaa ab bhii chaman me.n vaise hii KHush-ra.ng shaguufe khilte hai.n barsaatii havaa kii lahro.n se bhiige hu.e paude hilte hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa shaadaab-o-shagufta phuulo.n se ma.amuur hai.n gulzaar ab ki nahii.n baazaar me.n maalan laatii hai phuulo.n ke gu.ndhe haar ab ki nahii.n aur shauq se TuuTe pa.Dte hai.n nau-umr KHariidaar ab ki nahii.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa shaam pa.De galiyo.n me.n vahii dilchasp a.ndheraa hotaa hai aur sa.Dko.n kii dhundlii sham.o.n par saayo.n kaa baseraa hotaa hai baaGo.n kii ghanerii shaaKHo.n me.n jis tarah saveraa hotaa hai o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii vahaa.n vaisii hii javaa.n aur madh-bharii raate.n hotii hai.n kyaa raat bhar ab bhii giito.n kii aur pyaar kii baate.n hotii hai.n vo husn ke jaaduu chalte hai.n vo ishq kii ghaate.n hotii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa miiraaniyo.n ke aaGosh me.n hai aabaad vo baazaar ab ki nahii.n talvaare.n baGal me.n daabe hu.e phirte hai.n trahdaar ab ki nahii.n aur bahliyo.n me.n se jhaa.nkte hai.n turkaan-e-siyah-kaar ab ki nahii.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii mahakte mandir se naaquus kii aavaaz aatii hai kyaa ab bhii muqaddas masjid par mastaana azaa.n tharraatii hai aur shaam ke ra.ngii.n saayo.n par azmat kii jhalak chhaa jaatii hai o des se aane vaale bataa o des se aane vaalaa bataa kyaa ab bhii vahaa.n ke panghaT par panhaariyaa.n paanii bhartii hai.n a.ng.Daa.ii kaa naqsha ban ban kar sab maathe pe gaagar dhartii hai.n aur apne gharo.n ko jaate hu.e ha.nstii hu.ii चुहलें kartii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa barsaat ke mausam ab bhii vahaa.n vaise hii suhaane hote hai.n kyaa ab bhii vahaa.n ke baaGo.n me.n jhuule aur gaane hote hai.n aur duur kahii.n kuchh dekhte hii nau-umr diivaane hote hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii pahaa.Dii choTiyo.n par barsaat ke baadal chhaate hai.n kyaa ab bhii havaa-e-saahil ke vo ras bhare jho.nke aate hai.n aur sab se uu.nchii Tiikrii par log ab bhii taraane gaate hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii pahaa.Dii ghaaTiyo.n me.n ghanghor ghaTaa.e.n guu.njtii hai.n saahil ke ghanere pe.Do.n me.n barkhaa kii havaa.e.n guu.njtii hai.n jhe.ngur ke taraane jaagte hai.n moro.n kii sadaa.e.n guu.njtii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii vahaa.n melo.n me.n vahii barsaat kaa jauban hotaa hai phaile hu.e ba.D kii shaaKHo.n me.n jhuulo.n kaa nasheman hotaa hai umDe hu.e baadal hote hai.n chhaayaa hu.aa saavan hotaa hai o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa shahr ke gird ab bhii hai ravaa.n dariyaa-e-hasii.n lahraa.e hu.e juu.n god me.n apne man ko liye naagin ho ko.ii tharraa.e hu.e yaa nuur kii ha.nsulii huur kii gardan me.n ho ayaa.n bil khaa.e hu.e o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii fazaa ke daaman me.n barkhaa ke samay lahraate hai.n kyaa ab bhii kanaar-e-dariyaa par tuufaan ke jho.nke aate hai.n kyaa ab bhii a.ndherii raato.n me.n mallaah taraane gaate hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii vahaa.n barsaat ke din baaGo.n me.n bahaare.n aatii hai.n ma.asuum o hasii.n doshiizaa.e.n barkhaa ke taraane gaatii hai.n aur tiitriyo.n kii tarah se ra.ngii.n jhuulo.n par lahraatii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii ufuq ke siine par shaadaab ghaTaa.e.n jhuumtii hai.n dariyaa ke kinaare baaGo.n me.n mastaana havaa.e.n jhuumtii hai.n aur un ke nashiile jho.nko.n se KHaamosh fazaa.e.n jhuumtii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa shaam ko ab bhii jaate hai.n ahbaab kanaar-e-dariyaa par vo pe.D ghanere ab bhii hai.n shaadaab kanaar-e-dariyaa par aur pyaar se aa kar jhaa.nktaa hai mahtaab kanaar-e-dariyaa par o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa aam ke uu.nche pe.Do.n par ab bhii vo papiihe bolte hai.n shaaKHo.n ke hariirii pardo.n me.n naGmo.n ke KHazaane gholte hai.n saavan ke rasiile giito.n se taalaab me.n amras gholte hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa pahlii sii hai ma.asuum abhii vo madrase kii shaadaab fazaa kuchh bhuule hu.e din guzre hai.n jis me.n vo misaal-e-KHvaab fazaa vo khel vo ham-sin vo maidaa.n vo KHvaab-gah-e-mahtaab fazaa o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii kisii ke siine me.n baaqii hai hamaarii chaah bataa kyaa yaad hame.n bhii kartaa hai ab yaaro.n me.n ko.ii aah bataa o des se aane vaale bataa lillaah bataa lillaah bataa o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ham ko vatan ke baaGo.n kii mastaana fazaa.e.n bhuul ga.ii.n barkhaa kii bahaare.n bhuul ga.ii.n saavan kii ghaTaa.e.n bhuul ga.ii.n dariyaa ke kinaare bhuul ga.e ja.ngal kii havaa.e.n bhuul ga.ii.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa gaa.nv me.n ab bhii vaisii hii mastii-bharii raate.n aatii hai.n dehaat kii kamsin maah-vashe.n taalaab kii jaanib jaatii hai.n aur chaa.nd kii saada raushnii me.n ra.ngiin taraane gaatii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii gajar-dam charvaahe reva.D ko churaane jaate hai.n aur shaam ke dhu.ndle saayo.n ke hamraah gharo.n ko aate hai.n aur apnii rasiilii baa.nsuriyo.n me.n ishq ke naGme gaate hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa gaa.nv pe ab bhii saavan me.n barkhaa kii bahaare.n chhaatii hai.n ma.asuum gharo.n se bhor-bhai.e chakkii kii sadaa.e.n aatii hai.n aur yaad me.n apne maike kii bichh.Dii hu.ii sakhiyaa.n gaatii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa dariyaa kaa vo KHvaab-aaluuda saa ghaaT aur us kii fazaa.e.n kaisii hai.n vo gaa.nv vo manzar vo taalaab aur us kii havaa.e.n kaisii hai.n vo khet vo jangal vo chi.Diyaa.n aur un kii sadaa.e.n kaisii hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii puraane kha.nDaro.n par taariiKH kii ibrat taarii hai annpuurnaa ke uj.De mandir par maayuusii-o-hasrat taarii hai sunsaan gharo.n par chhaavnii ke viiraanii o riqqat taarii hai o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa aaKHir me.n ye hasrat hai ki bataa vo Gaarat-e-iimaa.n kaisii hai bachpan me.n jo aafat Dhaatii thii vo aafat-e-dauraa.n kaisii hai ham dono.n the jis ke parvaane vo sham-e-shabistaa.n kaisii hai o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa marjaana thaa jis kaa naam bataa vo Guncha-dahan kis haal me.n hai jis par the fidaa tiflaan-e-vatan vo jaan-e-vatan kis haal me.n hai vo sarv-e-chaman vo rashk-e-saman vo siim-badan kis haal me.n hai o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii ruKH-e-gulrang pe vo jannat ke nazaare raushan hai.n kyaa ab bhii rasiilii aa.nkho.n me.n saavan ke sitaare raushan hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa kyaa ab bhii shahaabii aariz par gesuu-e-siyah bil khaate hai.n yaa bahr-e-shafaq kii maujo.n par do naag pa.De lahraate hai.n aur jin kii jhalak se saavan kii raato.n ke sapne aate hai.n o des se aane vaale bataa o des se aane vaale bataa ab naam-e-KHudaa hogii vo javaa.n maike me.n hai yaa sasuraal ga.ii doshiiza hai yaa aafat me.n use kam-baKHt javaanii Daal ga.ii ghar par hii rahii yaa ghar se ga.ii KHush-haal rahii KHush-haal ga.ii o des se aane vaale bataa