Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega

Naushad Ali

aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega

Naushad Ali

MORE BYNaushad Ali

    ābādiyoñ meñ dasht manzar bhī aa.egā

    guzroge shahr se to mirā ghar bhī aa.egā

    achchhī nahīñ nazākat-e-ehsās is qadar

    shīsha agar banoge to patthar bhī aa.egā

    sairāb ho ke shaad na hoñ rah-ravān-e-shauq

    raste meñ tishnagī samundar bhī aa.egā

    dair o haram meñ ḳhaak uḌāte chale chalo

    tum jis justujū meñ ho vo dar bhī aa.egā

    baiThā huuñ kab se kūcha-e-qātil meñ sar-nigūñ

    qātil ke haath meñ kabhī ḳhanjar bhī aa.egā

    sarshār ho ke chuke yārān-e-mai-kada

    saaqī hamāre naam sāġhar bhī aa.egā

    is vāste uThāte haiñ kāñToñ ke naaz ham

    ik din to apne haath gul-e-tar bhī aa.egā

    itnī bhī yaad ḳhuub nahīñ ahd-e-ishq

    nazroñ meñ tark-e-ishq manzar bhī aa.egā

    rūdād-e-ishq is liye ab tak na bayāñ

    dil meñ jo dard hai vo zabāñ par bhī aa.egā

    jis din muddatoñ se hai 'naushād' justujū

    kyā jaane din hameñ vo mayassar bhī aa.egā

    aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega

    guzroge shahr se to mera ghar bhi aaega

    achchhi nahin nazakat-e-ehsas is qadar

    shisha agar banoge to patthar bhi aaega

    sairab ho ke shad na hon rah-rawan-e-shauq

    raste mein tishnagi ka samundar bhi aaega

    dair o haram mein KHak uDate chale chalo

    tum jis ki justuju mein ho wo dar bhi aaega

    baiTha hun kab se kucha-e-qatil mein sar-nigun

    qatil ke hath mein kabhi KHanjar bhi aaega

    sarshaar ho ke ja chuke yaran-e-mai-kada

    saqi hamare nam ka saghar bhi aaega

    is waste uThate hain kanTon ke naz hum

    ek din to apne hath gul-e-tar bhi aaega

    itni bhi yaad KHub nahin ahd-e-ishq ki

    nazron mein tark-e-ishq ka manzar bhi aaega

    rudad-e-ishq is liye ab tak na ki bayan

    dil mein jo dard hai wo zaban par bhi aaega

    jis din ki muddaton se hai 'naushad' justuju

    kya jaane din hamein wo mayassar bhi aaega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now