aag ko phul kahe jaen KHird-mand apne
aag ko phuul kahe jaa.eñ ḳhirad-mand apne
aur āñkhoñ pe rakheñ diid ke dar band apne
laakh chāhā ki ġham-o-fikr-e-jahāñ se chhūTeñ
jāma-e-dil pe ye sajte rahe paivand apne
shahr meñ dhuum machātī rahī kyā taaza havā
ham ne dar vā na kiyā ham haiñ gila-mand apne
sat.h-e-qirtās pe utre na tirī gul-badanī
kitne aajiz hue jaate haiñ hunar-mand apne
marhala tai na huā ahl-e-tazabzub se koī
jurm-e-tashkīk se baiThe rahe pāband apne
aisā kuchh gardish-e-daurāñ ne rakhā hai masrūf
mājare ho na sake ham se qalam-band apne
ham to mar jaate ġham-e-hijr ke hāthoñ 'shāhid'
dasht āfāq meñ hote na agar chand apne
aag ko phul kahe jaen KHirad-mand apne
aur aankhon pe rakhen did ke dar band apne
lakh chaha ki gham-o-fikr-e-jahan se chhuTen
jama-e-dil pe ye sajte rahe paiwand apne
shahr mein dhum machati rahi kya taza hawa
hum ne dar wa na kiya hum hain gila-mand apne
sath-e-qirtas pe utre na teri gul-badani
kitne aajiz hue jate hain hunar-mand apne
marhala tai na hua ahl-e-tazabzub se koi
jurm-e-tashkik se baiThe rahe paband apne
aisa kuchh gardish-e-dauran ne rakha hai masruf
majare ho na sake hum se qalam-band apne
hum to mar jate gham-e-hijr ke hathon 'shahid'
dasht aafaq mein hote na agar chand apne
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.