aag si lag rahi hai sine mein
aag sī lag rahī hai siine meñ
ab mazā kuchh nahīñ hai jiine meñ
āḳhirī kashmakash hai ye shāyad
mauj-e-dariyā meñ aur safīne meñ
zindagī yuuñ guzar ga.ī jaise
laḌkhaḌātā ho koī ziine meñ
dil kā ahvāl pūchhte kyā ho
ḳhaak uḌtī hai ābgīne meñ
kitne sāvan guzar ga.e lekin
koī aayā na is mahīne meñ
saare dil ek se nahīñ hote
farq hai kankar aur nagīne meñ
zindagī kī sa.ādateñ 'aslam'
mil ga.iiñ sab mujhe madīne meñ
aag si lag rahi hai sine mein
ab maza kuchh nahin hai jine mein
aaKHiri kashmakash hai ye shayad
mauj-e-dariya mein aur safine mein
zindagi yun guzar gai jaise
laDkhaData ho koi zine mein
dil ka ahwal puchhte kya ho
KHak uDti hai aabgine mein
kitne sawan guzar gae lekin
koi aaya na is mahine mein
sare dil ek se nahin hote
farq hai kankar aur nagine mein
zindagi ki saadaten 'aslam'
mil gain sab mujhe madine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.