aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega
aa.ine kā muñh bhī hairat se khulā rah jā.egā
jo bhī dekhegā tujhe vo dekhtā rah jā.egā
ham ne sab kuchh taj diyā terī rifāqat ke liye
tujh se bichhḌe to hamāre paas kyā rah jā.egā
mil sakeñge kis tarah ḳhvāboñ meñ ham jab hijr se
niiñd ho jā.egī ruḳhsat ratjagā rah jā.egā
ham agar terī razā hāsil nahīñ kar pā.eñge
'umr bhar ham se hamārā dil ḳhafā rah jā.egā
jaane vāloñ kī kamī puurī kabhī hotī nahīñ
aane vaale ā.eñge phir bhī ḳhalā rah jā.egā
murta.ish āvāz kī lahreñ raheñgī der tak
saaz chup ho jā.eñge sail-e-sadā rah jā.egā
'hīr' ko 'gulzār' le jā.eñge kheḌe ek din
bāñsurī par tū dhuneñ hī chheḌtā rah jā.egā
aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega
jo bhi dekhega tujhe wo dekhta rah jaega
hum ne sab kuchh taj diya teri rifaqat ke liye
tujh se bichhDe to hamare pas kya rah jaega
mil sakenge kis tarah KHwabon mein hum jab hijr se
nind ho jaegi ruKHsat ratjaga rah jaega
hum agar teri raza hasil nahin kar paenge
'umr bhar hum se hamara dil KHafa rah jaega
jaane walon ki kami puri kabhi hoti nahin
aane wale aaenge phir bhi KHala rah jaega
murtaish aawaz ki lahren rahengi der tak
saz chup ho jaenge sail-e-sada rah jaega
'hir' ko 'gulzar' le jaenge kheDe ek din
bansuri par tu dhunen hi chheDta rah jaega
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 187)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.