aaina aisa kabhi dekha na tha
aa.ina aisā kabhī dekhā na thā
mere chehre meñ mirā chehra na thā
niiñd lipTī rah ga.ī is ḳhvāb se
dar-haqīqat ḳhvāb jo apnā na thā
ik paḌosī dūsre se nā-balad
be-muravvat shahr to itnā na thā
raushnī kā ye bhī hai ik tajraba
maiñ jahāñ bhaTkā thā añdhiyārā na thā
haath jo kholā to bachcha ro paḌā
band muTThī meñ koī sikka na thā
aaina aisa kabhi dekha na tha
mere chehre mein mera chehra na tha
nind lipTi rah gai is KHwab se
dar-haqiqat KHwab jo apna na tha
ek paDosi dusre se na-balad
be-murawwat shahr to itna na tha
raushni ka ye bhi hai ek tajraba
main jahan bhaTka tha andhiyara na tha
hath jo khola to bachcha ro paDa
band muTThi mein koi sikka na tha
- Book : Badal Gai Koi Shai (Pg. 46)
- Author : Dr. Mushtaque Sadaf
- Publication : Swaraj Prakashan, New Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.