aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya
aaj dīvāne kā zauq-e-dīd puurā ho gayā
tujh ko dekhā aur us ke baa'd andhā ho gayā
dhuup ke hāthoñ pe bai'at kar chukī haiñ Tahniyāñ
rang saare sabz pattoñ kā sunahrā ho gayā
kaan dhartā hī nahīñ koī mirī āvāz par
aisā lagtā hai ki saarā shahr murda ho gayā
sāya-e-dīvār ko oḌhe hue the sab ke sab
gir ga.ī dīvār ghar kā ghar barahna ho gayā
jism o jaañ par sozish-e-ġham kā huā yaksāñ asar
sūrateñ sañvlā ga.iiñ jab dard gahrā ho gayā
ḳhvāhishātī irtiqā meñ dab ga.ī hai shaḳhsiyat
nafs moTā ho gayā aur shaḳhs dublā ho gayā
zindagī kī yātrā meñ saath kyā chhūTā tirā
muḳhtasar sā rāsta pal-bhar meñ lambā ho gayā
ġhālib-dānā se pūchho 'ishq meñ paḌ kar salīm
ek ma.aqūl aadmī kaise nikammā ho gayā
aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya
tujh ko dekha aur us ke ba'd andha ho gaya
dhup ke hathon pe bai'at kar chuki hain Tahniyan
rang sare sabz patton ka sunahra ho gaya
kan dharta hi nahin koi meri aawaz par
aisa lagta hai ki sara shahr murda ho gaya
saya-e-diwar ko oDhe hue the sab ke sab
gir gai diwar ghar ka ghar barahna ho gaya
jism o jaan par sozish-e-gham ka hua yaksan asar
suraten sanwla gain jab dard gahra ho gaya
KHwahishati irtiqa mein dab gai hai shaKHsiyat
nafs moTa ho gaya aur shaKHs dubla ho gaya
zindagi ki yatra mein sath kya chhuTa tera
muKHtasar sa rasta pal-bhar mein lamba ho gaya
ghaalib-dana se puchho 'ishq mein paD kar salim
ek maqul aadmi kaise nikamma ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.