aaj phir un se mulaqat pe rona aaya
aaj phir un se mulāqāt pe ronā aayā
bhūlī-bisrī huī har baat pe ronā aayā
ġhair ke lutf-o-ināyāt pe ronā aayā
aur apnoñ kī shikāyāt pe ronā aayā
aql ne tark-e-ta.alluq ko ġhanīmat jaanā
dil ko badle hue hālāt pe ronā aayā
ahl-e-dil ne kiye ta.amīr haqīqat ke sutūñ
ahl-e-duniyā ko rivāyāt pe ronā aayā
ham na samjhe the ki rusvā.ī-e-ulfat to hai
ai junūñ terī ḳhurāfāt pe ronā aayā
vo bhī din the ki bahut naaz thā apne uupar
aaj ḳhud apnī hī auqāt pe ronā aayā
man.a karte magar is tarah se lāzim bhī na thā
aap ke talḳh javābāt pe ronā aayā
chhoḌiye bhī mirī qismat meñ likhā thā ye bhī
aap ko kyuuñ mire hālāt pe ronā aayā
aaj phir un se mulaqat pe rona aaya
bhuli-bisri hui har baat pe rona aaya
ghair ke lutf-o-inayat pe rona aaya
aur apnon ki shikayat pe rona aaya
aql ne tark-e-talluq ko ghanimat jaana
dil ko badle hue haalat pe rona aaya
ahl-e-dil ne kiye tamir haqiqat ke sutun
ahl-e-duniya ko riwayat pe rona aaya
hum na samjhe the ki ruswai-e-ulfat to hai
ai junun teri KHurafat pe rona aaya
wo bhi din the ki bahut naz tha apne upar
aaj KHud apni hi auqat pe rona aaya
mana karte magar is tarah se lazim bhi na tha
aap ke talKH jawabaat pe rona aaya
chhoDiye bhi meri qismat mein likha tha ye bhi
aap ko kyun mere haalat pe rona aaya
- Saaz-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.