aaj yun dil ne un ka nam liya
aaj yuuñ dil ne un kā naam liyā
jaise girte hue ko thaam liyā
ham ne be-intihā vafā kar ke
be-vafāoñ se intiqām liyā
mujh ko kahnā thā tum se kyā kyā kuchh
tum ne bhī kis nazar se kaam liyā
baat puurī na kar sake un se
jab liyā ahd-e-nā-tamām liyā
jaise pahle kabhī milī hī na thiiñ
un nigāhoñ ne yuuñ salām liyā
vaah zikr-e-habīb kyā kahnā
aah kis be-vafā kā naam liyā
thā to un se gila 'razā' lekin
apne hī dil se intiqām liyā
aaj yun dil ne un ka nam liya
jaise girte hue ko tham liya
hum ne be-intiha wafa kar ke
be-wafaon se intiqam liya
mujh ko kahna tha tum se kya kya kuchh
tum ne bhi kis nazar se kaam liya
baat puri na kar sake un se
jab liya ahd-e-na-tamam liya
jaise pahle kabhi mili hi na thin
un nigahon ne yun salam liya
wah zikr-e-habib kya kahna
aah kis be-wafa ka nam liya
tha to un se gila 'raza' lekin
apne hi dil se intiqam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.