aam hai izn ki jo chaho hawa par likh do
aam hai izn ki jo chāho havā par likh do
ishq zinda hai zarā dast-e-sabā par likh do
aa rahe haiñ sabhī apnoñ sabhī ġhairoñ ke salām
tum bhī dushnām koī merī qabā par likh do
phir jalā hai kisī āñgan meñ koī taaza charāġh
phir koī qatl kisī dast-e-jafā par likh do
hausla sab ne baḌhāyā hai mire munsif kā
tum bhī in.aam koī merī sazā par likh do
roz likh likh ke jo dastār pe laate haiñ sipās
ḳhuld un ko bhī koī nām-e-ḳhudā par likh do
āñdhiyāñ tez haiñ maiñ ābla-pā tum tanhā
ab bhī chāho to mirā naam ridā par likh do
aam hai izn ki jo chaho hawa par likh do
ishq zinda hai zara dast-e-saba par likh do
aa rahe hain sabhi apnon sabhi ghairon ke salam
tum bhi dushnam koi meri qaba par likh do
phir jala hai kisi aangan mein koi taza charagh
phir koi qatl kisi dast-e-jafa par likh do
hausla sab ne baDhaya hai mere munsif ka
tum bhi inam koi meri saza par likh do
roz likh likh ke jo dastar pe late hain sipas
KHuld un ko bhi koi nam-e-KHuda par likh do
aandhiyan tez hain main aabla-pa tum tanha
ab bhi chaho to mera nam rida par likh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.