aana bhi aane wale ka afsana ho gaya
aana bhi aane wale ka afsana ho gaya
Anwari Jahan Begum Hijab
MORE BYAnwari Jahan Begum Hijab
aanā bhī aane vaale kā afsāna ho gayā
dushman ke kahne sunñe se kyā kyā na ho gayā
kyā faizyāb sohbat-e-rindāna ho gayā
dam-bhar meñ shaiḳh sāqī-e-mai-ḳhāna ho gayā
sunte haiñ band phir dar-e-mai-ḳhāna ho gayā
duur ayāġh-o-shaġhl-e-mul afsāna ho gayā
milne ke ba.ad baiTh rahā pher kar nigāh
zālim yagāna hote hī begāna ho gayā
apnoñ se bhī ziyāda jo paayā niyāz-mand
vo be-niyāz aur bhī begāna ho gayā
nā-āshnā rahā to yagāna banā rahā
hote hī āshnā koī begāna ho gayā
maanā ki mudda.ī se koī mudda.ā na thā
phir kyā sabab thā tark jo yārāna ho gayā
kis tarah apnī ḳhāna-ḳharābī ayaañ kare
vo dil jo parde vāloñ kā kāshāna ho gayā
aane kā va.ada kar ke vo hañste hue chale
ma.alūm abhī se lutf-e-qadīmāna ho gayā
jaan is dilāvarī se tire manchale ne dī
maqtal meñ shor-e-himmat-e-mardāna ho gayā
phir bhī savāl-e-vasl kā mauqa nahīñ milā
sau baar go kalām-e-kalīmāna ho gayā
vo dil-jalā thā maiñ ki tirī sham-e-husn par
jal kar nisār sūrat-e-parvāna ho gayā
majnūñ jo ban gayā kisī lailā-adā kā maiñ
phir kyā thā najd ḳhud mirā vīrāna ho gayā
gesū banā.e jā.iye aap apne shauq se
ho jaane dījiye jo maiñ dīvāna ho gayā
pī lī 'hijāb' haath hī se aaj maiñ ne mai
chullū mirā mire liye paimāna ho gayā
aana bhi aane wale ka afsana ho gaya
dushman ke kahne sunne se kya kya na ho gaya
kya faizyab sohbat-e-rindana ho gaya
dam-bhar mein shaiKH saqi-e-mai-KHana ho gaya
sunte hain band phir dar-e-mai-KHana ho gaya
dur ayagh-o-shaghl-e-mul afsana ho gaya
milne ke baad baiTh raha pher kar nigah
zalim yagana hote hi begana ho gaya
apnon se bhi ziyaada jo paya niyaz-mand
wo be-niyaz aur bhi begana ho gaya
na-ashna raha to yagana bana raha
hote hi aashna koi begana ho gaya
mana ki muddai se koi muddaa na tha
phir kya sabab tha tark jo yarana ho gaya
kis tarah apni KHana-KHarabi ayan kare
wo dil jo parde walon ka kashana ho gaya
aane ka wada kar ke wo hanste hue chale
malum abhi se lutf-e-qadimana ho gaya
jaan is dilawari se tere manchale ne di
maqtal mein shor-e-himmat-e-mardana ho gaya
phir bhi sawal-e-wasl ka mauqa nahin mila
sau bar go kalam-e-kalimana ho gaya
wo dil-jala tha main ki teri sham-e-husn par
jal kar nisar surat-e-parwana ho gaya
majnun jo ban gaya kisi laila-ada ka main
phir kya tha najd KHud mera virana ho gaya
gesu banae jaiye aap apne shauq se
ho jaane dijiye jo main diwana ho gaya
pi li 'hijab' hath hi se aaj main ne mai
chullu mera mere liye paimana ho gaya
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 121)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.