aankh mein tera aks tere hi ek KHayal se TuT gaya
aañkh meñ terā aks tire hī ek ḳhayāl se TuuT gayā
jhiil kā chāñd to machhlī kī halkī sī chaal se TuuT gayā
chāhne vaalo pyaar meñ thoḌī āzādī bhī lāzim hai
dekho merā phuul ziyāda dekh-bhāl se TuuT gayā
mushkil daur meñ apnoñ par da.ave-dārī bhī kyā karte
patjhaḌ aa.ī to har pattā apnī Daal se TuuT gayā
kachche sapnoñ se achchhā hai pakkī nīndeñ so lenā
aise ḳhvāb ko kyā ronā jo palak ke baal se TuuT gayā
dil ke aage aql kī saarī chāleñ phīkī hotī haiñ
dekho raajā adnā se piyāde kī chaal se TuuT gayā
TuuT gayā yuuñ aañkh se aañsū hijr ke dhaḌke se 'ālam'
jaise ghuñgrū table kī pahlī hī taal se TuuT gayā
aankh mein tera aks tere hi ek KHayal se TuT gaya
jhil ka chand to machhli ki halki si chaal se TuT gaya
chahne walo pyar mein thoDi aazadi bhi lazim hai
dekho mera phul ziyaada dekh-bhaal se TuT gaya
mushkil daur mein apnon par dawe-dari bhi kya karte
patjhaD aai to har patta apni Dal se TuT gaya
kachche sapnon se achchha hai pakki ninden so lena
aise KHwab ko kya rona jo palak ke baal se TuT gaya
dil ke aage aql ki sari chaalen phiki hoti hain
dekho raja adna se piyaade ki chaal se TuT gaya
TuT gaya yun aankh se aansu hijr ke dhaDke se 'alam'
jaise ghungru table ki pahli hi tal se TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.