aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
aañkh tumhārī mast bhī hai aur mastī kā paimāna bhī
ek chhalakte sāġhar meñ mai bhī hai aur mai-ḳhāna bhī
be-ḳhudī-e-dil kā kyā kahnā sab kuchh hai aur kuchh bhī nahīñ
hastī se mānūs bhī huuñ hastī se begāna bhī
husn ne tere duniyā meñ kaisī aag lagā dī hai
barq bhī sho.ala barpā hai raqs meñ hai parvāna bhī
vus.at-e-vahshat tang huī bigḌā ghar dīvānoñ kā
najd ke ik saudā.ī ne luuT liyā vīrāna bhī
aaj mohabbat rusvā hai hāthoñ se hoshyāroñ ke
ishq kī pahlī duniyā meñ thā koī dīvāna bhī
dil kī duniyā hiltī hai roko apnī nazroñ ko
kāfir luuTe letī haiñ aaj tajallī-ḳhāna bhī
gardish mast nigāhoñ kī āḳhir vajd-añgez huī
chakkar meñ 'sāġhar' bhī hai daur meñ hai paimāna bhī
aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
ek chhalakte saghar mein mai bhi hai aur mai-KHana bhi
be-KHudi-e-dil ka kya kahna sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin
hasti se manus bhi hun hasti se begana bhi
husn ne tere duniya mein kaisi aag laga di hai
barq bhi shoala barpa hai raqs mein hai parwana bhi
wusat-e-wahshat tang hui bigDa ghar diwanon ka
najd ke ek saudai ne luT liya virana bhi
aaj mohabbat ruswa hai hathon se hoshyaron ke
ishq ki pahli duniya mein tha koi diwana bhi
dil ki duniya hilti hai roko apni nazron ko
kafir luTe leti hain aaj tajalli-KHana bhi
gardish mast nigahon ki aaKHir wajd-angez hui
chakkar mein 'saghar' bhi hai daur mein hai paimana bhi
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 102)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.