aao husn-e-yar ki baaten karen
aao husn-e-yār kī bāteñ kareñ
zulf kī ruḳhsār kī bāteñ kareñ
zulf-e-ambar-bār ke qisse sunā.eñ
turra-e-tarrār kī bāteñ kareñ
phuul barsā.eñ bisāt aish par
roz vasl yaar kī bāteñ kareñ
naqd-e-jāñ le kar chaleñ us bazm meñ
misr ke bāzār kī bāteñ kareñ
un ke kūche meñ jo guzrī hai kahīñ
sāya-e-dīvār kī bāteñ kareñ
āḳhirī sā'at shab-e-ruḳhsat kī hai
aao ab to pyaar kī bāteñ kareñ
aao husn-e-yar ki baaten karen
zulf ki ruKHsar ki baaten karen
zulf-e-ambar-bar ke qisse sunaen
turra-e-tarrar ki baaten karen
phul barsaen bisat aish par
roz wasl yar ki baaten karen
naqd-e-jaan le kar chalen us bazm mein
misr ke bazar ki baaten karen
un ke kuche mein jo guzri hai kahin
saya-e-diwar ki baaten karen
aaKHiri sa'at shab-e-ruKHsat ki hai
aao ab to pyar ki baaten karen
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 630)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.