aao koi to hal nikalte hain
aao koī to hal nikālte haiñ
saare qisse pe ḳhaak Dālte haiñ
har musībat ko hañs ke Tālte haiñ
jhūmte haiñ dhamāl Dālte haiñ
ġhair to ġhair haiñ musībat meñ
āshnā bhī kahāñ sañbhālte haiñ
dost hī ḳhūbiyāñ batāte haiñ
dost hī ḳhāmiyāñ nikālte haiñ
rāt-din apne dil meñ ham 'tanhā'
anginat ḳhvāhishoñ ko pālte haiñ
aao koi to hal nikalte hain
sare qisse pe KHak Dalte hain
har musibat ko hans ke Talte hain
jhumte hain dhamal Dalte hain
ghair to ghair hain musibat mein
aashna bhi kahan sanbhaalte hain
dost hi KHubiyan batate hain
dost hi KHamiyan nikalte hain
raat-din apne dil mein hum 'tanha'
anginat KHwahishon ko palte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.