aashiq ko tere lakh koi rahnuma mile
āshiq ko tere laakh koī rahnumā mile
terā patā milā hai na terā patā mile
tum mujh se aa mile kabhī dushman se jā mile
jab ye mizāj hai to koī tum se kyā mile
ba.ad-e-fanā bhī ḳhair se tanhā nahīñ haiñ ham
bandoñ se chhuT ga.e to farishtoñ meñ aa mile
jab dair meñ ye dekhā ki apnā guzar nahīñ
ka.abe ke jaane vāloñ meñ majbūr jā mile
dekho 'rasā' chale to ho tum tauba toḌne
dar par na mai-kade ke koī pārsā mile
aashiq ko tere lakh koi rahnuma mile
tera pata mila hai na tera pata mile
tum mujh se aa mile kabhi dushman se ja mile
jab ye mizaj hai to koi tum se kya mile
baad-e-fana bhi KHair se tanha nahin hain hum
bandon se chhuT gae to farishton mein aa mile
jab dair mein ye dekha ki apna guzar nahin
kabe ke jaane walon mein majbur ja mile
dekho 'rasa' chale to ho tum tauba toDne
dar par na mai-kade ke koi parsa mile
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.