aate jate mausamon ka silsila baqi rahe
aate jaate mausamoñ kā silsila baaqī rahe
roz ham milte raheñ aur fāsla baaqī rahe
khā ga.iiñ dariyā kī maujeñ ḳhvāb-āvar goliyāñ
bādbānī ke liye pāgal havā baaqī rahe
kal koī būḌhā musavvir mujh se milne aa.egā
ai mire munsif mirī thoḌī sazā baaqī rahe
shā.erī karte raho lekin rahe itnā ḳhayāl
dushmanoñ se dostī kā hausla baaqī rahe
aate jate mausamon ka silsila baqi rahe
roz hum milte rahen aur fasla baqi rahe
kha gain dariya ki maujen KHwab-awar goliyan
baadbani ke liye pagal hawa baqi rahe
kal koi buDha musawwir mujh se milne aaega
ai mere munsif meri thoDi saza baqi rahe
shaeri karte raho lekin rahe itna KHayal
dushmanon se dosti ka hausla baqi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.