ab aankh bhi mashshaq hui zer-o-zabar ki
ab aañkh bhī mashshāq huī zer-o-zabar kī
ḳhvāhish to tirī ghaaT kī rah paa.ī na ghar kī
rañg apne jo the bhar bhī kahāñ paa.e kabhī ham
ham ne to sadā radd-e-amal meñ hī basar kī
jab sirf tire gul meñ mirā hissa nazar hai
phir soch hai kyā dard ye tāḳhīr nazar kī
ye kuufe kī galiyāñ haiñ ki ye merī rageñ bhī
har samt se chubhtī hai anī mujh ko shimar kī
ab aankh bhi mashshaq hui zer-o-zabar ki
KHwahish to teri ghaT ki rah pai na ghar ki
rang apne jo the bhar bhi kahan pae kabhi hum
hum ne to sada radd-e-amal mein hi basar ki
jab sirf tere gul mein mera hissa nazar hai
phir soch hai kya dard ye taKHir nazar ki
ye kufe ki galiyan hain ki ye meri ragen bhi
har samt se chubhti hai ani mujh ko shimar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.