Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai

Akhtar lakhnvi

ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai

Akhtar lakhnvi

MORE BYAkhtar lakhnvi

    ab dard sūraj kabhī Dhaltā nahīñ hai

    ab dil koī pahlū ho sañbhaltā nahīñ hai

    bechain kiye rahtī hai jis talab-e-dīd

    ab baam pe vo chāñd nikaltā nahīñ hai

    ik 'umr se duniyā hai bas ek 'ālam

    ye kyā ki falak rang badaltā nahīñ hai

    nākām rahā un nigāhoñ fusūñ bhī

    is vaqt to jaadū koī chaltā nahīñ hai

    jazbe kaḌī dhuup ho to kyā nahīñ mumkin

    ye kis ne kahā sang pighaltā nahīñ hai

    ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai

    ab dil koi pahlu ho sanbhalta hi nahin hai

    bechain kiye rahti hai jis ki talab-e-did

    ab baam pe wo chand nikalta hi nahin hai

    ek 'umr se duniya ka hai bas ek hi 'alam

    ye kya ki falak rang badalta hi nahin hai

    nakaam raha un ki nigahon ka fusun bhi

    is waqt to jadu koi chalta hi nahin hai

    jazbe ki kaDi dhup ho to kya nahin mumkin

    ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now