Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to apne pas hain kewal bichhDe yaron ki taswiren

Mukesh Aalam

ab to apne pas hain kewal bichhDe yaron ki taswiren

Mukesh Aalam

MORE BYMukesh Aalam

    ab to apne paas haiñ keval bichhḌe yāroñ tasvīreñ

    ḳhālī dastar-ḳhvān pe jaise hoñ pakvānoñ tasvīreñ

    majbūrī ke pinjre se maiñ tum ko jaate yuuñ taktā huuñ

    jaise parinda dekh rahā ho uḌte parindoñ tasvīreñ

    ek tasavvur aisā bhī hai ham tum saath meñ baiThe hoñ aur

    apne bachche khīñch rahe hoñ phir ham donoñ tasvīreñ

    aaj to aise bijlī chamkī bārish aa.ī khiḌkī bhīgī

    jaise bādal khīñch rahā ho mere ashkoñ tasvīreñ

    ik ik kar ke maiñ ne apne chehre gine jab tauba tauba

    chhoTī dīvār ke uupar itne chehroñ tasvīreñ

    kamre tasvīr gavāh hai dil meñ bhī tum rahte ho

    varna ghar meñ kaun sajātā hai yuuñ ġhairoñ tasvīreñ

    aa bhī jaao tasvīroñ se kab tak dil bahlā.eñ āḳhir

    darvāzoñ se paar nahīñ kartīñ darvāzoñ tasvīreñ

    ab to apne pas hain kewal bichhDe yaron ki taswiren

    KHali dastar-KHwan pe jaise hon pakwanon ki taswiren

    majburi ke pinjre se main tum ko jate yun takta hun

    jaise parinda dekh raha ho uDte parindon ki taswiren

    ek tasawwur aisa bhi hai hum tum sath mein baiThe hon aur

    apne bachche khinch rahe hon phir hum donon ki taswiren

    aaj to aise bijli chamki barish aai khiDki bhigi

    jaise baadal khinch raha ho mere ashkon ki taswiren

    ek ek kar ke main ne apne chehre gine jab tauba tauba

    chhoTi si diwar ke upar itne chehron ki taswiren

    kamre ki taswir gawah hai dil mein bhi tum hi rahte ho

    warna ghar mein kaun sajata hai yun ghairon ki taswiren

    aa bhi jao taswiron se kab tak dil bahlaen aaKHir

    darwazon se par nahin kartin darwazon ki taswiren

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now