ab uThao naqab aankhon se
ab uThāo naqāb āñkhoñ se
ham bhī chun leñ gulāb āñkhoñ se
aap ke paas mai ke pyāle haiñ
ham piyeñge sharāb āñkhoñ se
laakh rokā tumhāre āñchal ne
ham ne dekhā hijāb āñkhoñ se
uljhī uljhī hai zulf sāvan kī
barsā barsā shabāb āñkhoñ se
log karte haiñ ḳhvāb kī bāteñ
ham ne dekhā hai ḳhvāb āñkhoñ se
aabrū rakh lo aaj mausam kī
mil gayā hai javāb āñkhoñ se
ab uThao naqab aankhon se
hum bhi chun len gulab aankhon se
aap ke pas mai ke pyale hain
hum piyenge sharab aankhon se
lakh roka tumhaare aanchal ne
hum ne dekha hijab aankhon se
uljhi uljhi hai zulf sawan ki
barsa barsa shabab aankhon se
log karte hain KHwab ki baaten
hum ne dekha hai KHwab aankhon se
aabru rakh lo aaj mausam ki
mil gaya hai jawab aankhon se
- Book : Mauje Aariz (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.