ab wo sauda nahin diwanon mein
ab vo saudā nahīñ dīvānoñ meñ
ḳhaak uḌtī hai bayābānoñ meñ
ġham-e-daurāñ ko gila hai mujh se
tū hī tū hai mire afsānoñ meñ
dil-e-nādāñ tirī hālat kyā hai
tū na apnoñ meñ na begānoñ meñ
bujh ga.ī sham.a sahar se pahle
aag jaltī rahī parvānoñ meñ
dil ne chhoḌā na umīdoñ kā ḳhayāl
phuul khilte rahe vīrānoñ meñ
'saif' pahlū meñ ye aahaT ġham kī
kaun rotā hai bayābānoñ meñ
ab wo sauda nahin diwanon mein
KHak uDti hai bayabanon mein
gham-e-dauran ko gila hai mujh se
tu hi tu hai mere afsanon mein
dil-e-nadan teri haalat kya hai
tu na apnon mein na beganon mein
bujh gai shama sahar se pahle
aag jalti rahi parwanon mein
dil ne chhoDa na umidon ka KHayal
phul khilte rahe viranon mein
'saif' pahlu mein ye aahaT gham ki
kaun rota hai bayabanon mein
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 107)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.