abas DhunDa kiye hum na-KHudaon ko safinon mein
abas DhunDa kiye hum na-KHudaon ko safinon mein
Abdul Rahman Bazmi
MORE BYAbdul Rahman Bazmi
abas DhūñDā kiye ham nā-ḳhudāoñ ko safīnoñ meñ
vo the āsūda-e-sāhil mile sāhil-nashīnoñ meñ
vo auroñ ke butoñ ko toḌne vāloñ ko dekho to
chhupā.e phirte haiñ apne butoñ ko āstīnoñ meñ
hamārī bekasī aur nā-tavānī kā ḳhudā hāfiz
ki talvāreñ haiñ pinhāñ rahbaroñ kī āstīnoñ meñ
chhalak jaatī hai ashk-e-garm ban kar merī āñkhoñ se
Thahartī hī nahīñ sahbā-e-dard in ābgīnoñ meñ
mire ash.ār haiñ ā.īna-e-soz-e-darūñ 'bazmī'
jhalaktā hai mirā ḳhūn-e-jigar in ābgīnoñ meñ
abas DhunDa kiye hum na-KHudaon ko safinon mein
wo the aasuda-e-sahil mile sahil-nashinon mein
wo auron ke buton ko toDne walon ko dekho to
chhupae phirte hain apne buton ko aastinon mein
hamari bekasi aur na-tawani ka KHuda hafiz
ki talwaren hain pinhan rahbaron ki aastinon mein
chhalak jati hai ashk-e-garm ban kar meri aankhon se
Thaharti hi nahin sahba-e-dard in aabginon mein
mere ashaar hain aaina-e-soz-e-darun 'bazmi'
jhalakta hai mera KHun-e-jigar in aabginon mein
- Book : Shora-e-London (Pg. 46)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.