achchhe hain fasle ke ye tare sajate hain
achchhe haiñ fāsle ke ye taare sajāte haiñ
jitnā qarīb jaao nazar daaġh aate haiñ
vo raa.e dete haiñ yahāñ jo haar jaate haiñ
jo jiit jaate haiñ vo kahānī sunāte haiñ
qillat baḌī hai vaqt kī kyā rū-ba-rū mile
ab log sirf phone se rishte nibhāte haiñ
kis tarah lā.ūñ apne laboñ tak maiñ hāl-e-dil
hai mas.ala laboñ kā ki ye muskurāte haiñ
lab pe kabhī Thahartī nahīñ der tak hañsī
ġham mere dil ke dasht meñ ḳheme lagāte haiñ
achchhe hain fasle ke ye tare sajate hain
jitna qarib jao nazar dagh aate hain
wo rae dete hain yahan jo haar jate hain
jo jit jate hain wo kahani sunate hain
qillat baDi hai waqt ki kya ru-ba-ru mile
ab log sirf phone se rishte nibhate hain
kis tarah laun apne labon tak main haal-e-dil
hai masala labon ka ki ye muskuraate hain
lab pe kabhi Thaharti nahin der tak hansi
gham mere dil ke dasht mein KHeme lagate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.