adu to kya ye falak bhi use sata na saka
adū to kyā ye falak bhī use satā na sakā
ḳhushī hañsā na sakī ġham jise rulā na sakā
na pūchh us kī dil-afsurdagī kī kaifiyyat
jo ġham-nasīb ḳhushī meñ bhī muskurā na sakā
vo pūchh baiThe yakāyak jo vaj.h-e-be-tābī
khuja ke rah gayā sar baat kuchh banā na sakā
vo dekh leñ na kahīñ merī chashm-e-pur-nam ko
gayā to milne ko āñkheñ magar milā na sakā
ye do-dilī meñ rahā ghar na ghaaT kā 'anjum'
butoñ ko kar na sakā ḳhush ḳhudā ko pā na sakā
adu to kya ye falak bhi use sata na saka
KHushi hansa na saki gham jise rula na saka
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
jo gham-nasib KHushi mein bhi muskura na saka
wo puchh baiThe yakayak jo wajh-e-be-tabi
khuja ke rah gaya sar baat kuchh bana na saka
wo dekh len na kahin meri chashm-e-pur-nam ko
gaya to milne ko aankhen magar mila na saka
ye do-dili mein raha ghar na ghaT ka 'anjum'
buton ko kar na saka KHush KHuda ko pa na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.