Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota

Chakbast Brij Narayan

agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota

Chakbast Brij Narayan

MORE BYChakbast Brij Narayan

    agar dard-e-mohabbat se na insāñ āshnā hotā

    na kuchh marne ġham hotā na jiine mazā hotā

    bahār-e-gul meñ dīvānoñ sahrā meñ parā hotā

    jidhar uThtī nazar kosoñ talak jañgal harā hotā

    mai-e-gul-rañg luTtī yuuñ dar-e-mai-ḳhāna hotā

    na piine kamī hotī na saaqī se gilā hotā

    hazāroñ jaan dete haiñ butoñ bevafā.ī par

    agar un meñ se koī bā-vafā hotā to kyā hotā

    rulāyā ahl-e-mahfil ko nigāh-e-yās ne merī

    qayāmat thī jo ik qatra in āñkhoñ se judā hotā

    ḳhudā ko bhuul kar insān ke dil ye aalam hai

    ye ā.īna agar sūrat-numā hotā to kyā hotā

    agar dam bhar bhī miT jaatī ḳhalish ḳhār-e-tamannā

    dil-e-hasrat-talab ko apnī hastī se gilā hotā

    agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota

    na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota

    bahaar-e-gul mein diwanon ka sahra mein para hota

    jidhar uThti nazar koson talak jangal hara hota

    mai-e-gul-rang luTti yun dar-e-mai-KHana wa hota

    na pine ki kami hoti na saqi se gila hota

    hazaron jaan dete hain buton ki bewafai par

    agar un mein se koi ba-wafa hota to kya hota

    rulaya ahl-e-mahfil ko nigah-e-yas ne meri

    qayamat thi jo ek qatra in aankhon se juda hota

    KHuda ko bhul kar insan ke dil ka ye aalam hai

    ye aaina agar surat-numa hota to kya hota

    agar dam bhar bhi miT jati KHalish KHar-e-tamanna ki

    dil-e-hasrat-talab ko apni hasti se gila hota

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 51)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now