agar jo pyar KHata hai to koi baat nahin
agar jo pyaar ḳhatā hai to koī baat nahīñ
qazā hī us kī sazā hai to koī baat nahīñ
tū sirf merī hai is kā ġhurūr hai mujh ko
agar ye vahm mirā hai to koī baat nahīñ
muaaf karne kī aadat nahīñ hai vaise to
agar ye tiir tirā hai to koī baat nahīñ
binā badan ke ta.alluq bachā nahīñ sakte
yahī jo rasta bachā hai to koī baat nahīñ
haañ mere ba.ad kisī aur kā na ho jaanā
tū aaj mujh se judā hai to koī baat nahīñ
agar jo pyar KHata hai to koi baat nahin
qaza hi us ki saza hai to koi baat nahin
tu sirf meri hai is ka ghurur hai mujh ko
agar ye wahm mera hai to koi baat nahin
muaf karne ki aadat nahin hai waise to
agar ye tir tera hai to koi baat nahin
bina badan ke talluq bacha nahin sakte
yahi jo rasta bacha hai to koi baat nahin
han mere baad kisi aur ka na ho jaana
tu aaj mujh se juda hai to koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.