agar kar-e-mohabbat mein mohabbat ras aa jati
agar kār-e-mohabbat meñ mohabbat raas aa jaatī
tumhārā hijr achchhā thā jo vaslat raas aa jaatī
galā phāḌā nahīñ karte rafū daryāft karne meñ
agar bekār rahne kī mashaqqat raas aa jaatī
tumheñ sayyād kahne se agar ham baaz aa jaate
hameñ bhī is tamāshe meñ sukūnat raas aa jaatī
faqat ġhussa piye jaate haiñ roz o shab ke jhagḌe meñ
koī hañgāma kar sakte jo vahshat raas aa jaatī
agar ham paar kar sakte ye apnī zaat kā sahrā
to apne saath rahne kī sahūlat raas aa jaatī
agar kar-e-mohabbat mein mohabbat ras aa jati
tumhaara hijr achchha tha jo waslat ras aa jati
gala phaDa nahin karte rafu daryaft karne mein
agar bekar rahne ki mashaqqat ras aa jati
tumhein sayyaad kahne se agar hum baz aa jate
hamein bhi is tamashe mein sukunat ras aa jati
faqat ghussa piye jate hain roz o shab ke jhagDe mein
koi hangama kar sakte jo wahshat ras aa jati
agar hum par kar sakte ye apni zat ka sahra
to apne sath rahne ki sahulat ras aa jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.