agar qadam tere mai-kash ka laDkhaDa jae
agar qadam tire mai-kash kā laḌkhaḌā jaa.e
to sham-e-mai-kada kī lau bhī thartharā jaa.e
ab is maqām pe laa.ī hai zindagī mujh ko
ki chāhtā huuñ tujhe bhī bhulā diyā jaa.e
mujhe bhī yuuñ to baḌī aarzū hai jiine kī
magar savāl ye hai kis tarah jiyā jaa.e
ġham-e-hayāt se itnī bhī hai kahāñ fursat
ki terī yaad meñ jī bhar ke ro liyā jaa.e
unheñ bhī bhuul chukā huuñ maiñ ai ġham-e-daurāñ
ab is ke ba.ad batā aur kyā kiyā jaa.e
na jaane ab ye mujhe kyuuñ ḳhayāl aatā hai
ki apne haal pe be-sāḳhta hañsā jaa.e
gurez ishq se lāzim sahī magar 'rif.at'
jo dil hī baat na maane to kyā kiyā jaa.e
agar qadam tere mai-kash ka laDkhaDa jae
to sham-e-mai-kada ki lau bhi tharthara jae
ab is maqam pe lai hai zindagi mujh ko
ki chahta hun tujhe bhi bhula diya jae
mujhe bhi yun to baDi aarzu hai jine ki
magar sawal ye hai kis tarah jiya jae
gham-e-hayat se itni bhi hai kahan fursat
ki teri yaad mein ji bhar ke ro liya jae
unhen bhi bhul chuka hun main ai gham-e-dauran
ab is ke baad bata aur kya kiya jae
na jaane ab ye mujhe kyun KHayal aata hai
ki apne haal pe be-saKHta hansa jae
gurez ishq se lazim sahi magar 'rifat'
jo dil hi baat na mane to kya kiya jae
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 01.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.