ai hawa tu hi nahin main bhi hun
ai havā tū hī nahīñ maiñ bhī huuñ
ḳhaak uḌātā to yahīñ maiñ bhī huuñ
sirf ābād nahīñ sannāTā
is ḳharābe kā makīñ maiñ bhī huuñ
in sitāroñ meñ kahīñ tum bhī ho
in nazāroñ meñ kahīñ maiñ bhī huuñ
kyā thā jo dasht-nashīñ thā majnūñ
kyā hai jo gosha-nashīñ maiñ bhī huuñ
shād-ābād zamīñ kis se hai
nāz-bardār-e-zamīñ maiñ bhī huuñ
yā to kuchh bhī nahīñ maujūd yahāñ
yā mujhe hosh nahīñ maiñ bhī huuñ
ai hawa tu hi nahin main bhi hun
KHak uData to yahin main bhi hun
sirf aabaad nahin sannaTa
is KHarabe ka makin main bhi hun
in sitaron mein kahin tum bhi ho
in nazaron mein kahin main bhi hun
kya tha jo dasht-nashin tha majnun
kya hai jo gosha-nashin main bhi hun
shad-abaad zamin kis se hai
naz-bardar-e-zamin main bhi hun
ya to kuchh bhi nahin maujud yahan
ya mujhe hosh nahin main bhi hun
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 88)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.