ai sham.a tujh pe raat ye bhārī hai jis tarah
maiñ ne tamām umr guzārī hai is tarah
dil ke sivā koī na thā sarmāya ashk kā
hairāñ huuñ kaam āñkhoñ kā jaarī hai kis tarah
unsur hai ḳhair o shar kā har ik shai meñ yuuñ nihāñ
har sham'-e-bazm nūrī-o-nārī hai jis tarah
bas yuuñ samajh lo mujh ko umīd-e-sahar na thī
kyā pūchhte ho raat guzārī hai kis tarah
us naqsh-e-mustaqil pe hai sharminda aa.ina
tasvīr un kī dil pe utārī hai is tarah
'nātiq' jalāl meñ bhī asar is qadar nahīñ
ro'b-e-jamāl qalb pe taarī hai jis tarah
ai shama tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah
main ne tamam umr guzari hai is tarah
dil ke siwa koi na tha sarmaya ashk ka
hairan hun kaam aankhon ka jari hai kis tarah
unsur hai KHair o shar ka har ek shai mein yun nihan
har sham'-e-bazm nuri-o-nari hai jis tarah
bas yun samajh lo mujh ko umid-e-sahar na thi
kya puchhte ho raat guzari hai kis tarah
us naqsh-e-mustaqil pe hai sharminda aaina
taswir un ki dil pe utari hai is tarah
'natiq' jalal mein bhi asar is qadar nahin
ro'b-e-jamal qalb pe tari hai jis tarah
ai shama tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah
Nomaan Shauque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.