airport station saDkon par hain kitne sare log
airport station saḌkoñ par haiñ kitne saare log
jaane kaun se sukh kī ḳhātir phirte maare maare log
shaam ga.e ye manzar ham ne mulkoñ mulkoñ dekhā hai
ghar lauTeñ bojhal qadmoñ se bujhe hue añgāre log
sab se shākī ḳhud se nālāñ apnī aag meñ jalte haiñ
dukh ke sivā aur kyā bāñTeñge in jaise añdhiyāre log
pur-nam āñkhoñ bojhal dil se kitnī baar vidā.ī lī
kitnā bojh liye phirte haiñ ham jaise banjāre log
vo kitne ḳhush-qismat the jo apne gharoñ ko lauT ga.e
shahroñ shahroñ ghuum rahe haiñ ham hālāt ke maare log
raat ga.e yādoñ ke jañgal meñ dīvālī hotī hai
diip sajā.e aa jaate haiñ bhūle bisre pyāre log
bachpan kitnā pyārā thā jab dil ko yaqīñ aa jaatā thā
marte haiñ to ban jaate haiñ āsmān ke taare log
airport station saDkon par hain kitne sare log
jaane kaun se sukh ki KHatir phirte mare mare log
sham gae ye manzar hum ne mulkon mulkon dekha hai
ghar lauTen bojhal qadmon se bujhe hue angare log
sab se shaki KHud se nalan apni aag mein jalte hain
dukh ke siwa aur kya banTenge in jaise andhiyare log
pur-nam aankhon bojhal dil se kitni bar widai li
kitna bojh liye phirte hain hum jaise banjare log
wo kitne KHush-qismat the jo apne gharon ko lauT gae
shahron shahron ghum rahe hain hum haalat ke mare log
raat gae yaadon ke jangal mein diwali hoti hai
dip sajae aa jate hain bhule bisre pyare log
bachpan kitna pyara tha jab dil ko yaqin aa jata tha
marte hain to ban jate hain aasman ke tare log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.