aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de
aisā hai kaun jo mujhe haq tak rasā.ī de
dekhūñ jise bhī ḳhauf-zada sā dikhā.ī de
apne haiñ shahr bhar meñ parāyā koī nahīñ
phir bhī hamārā dil hai jo tanhā dikhā.ī de
taḳhsīs koī zālim o mazlūm kī nahīñ
koī duhā.ī de bhī to kis kī duhā.ī de
hamdard hoñ ġhayūr hoñ aur pur-ḳhulūs hoñ
ai kārsāz bahnoñ ko ab aise bhaa.ī de
ye zindagī hai apnī kabhī ḳhush kabhī udaas
is kashmakash se mujh ko ḳhudāyā rihā.ī de
'zebī' ajiib daur hai ye vahshatoñ kā daur
saaya bhī apnā maut kā saaya dikhā.ī de
aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de
dekhun jise bhi KHauf-zada sa dikhai de
apne hain shahr bhar mein paraya koi nahin
phir bhi hamara dil hai jo tanha dikhai de
taKHsis koi zalim o mazlum ki nahin
koi duhai de bhi to kis ki duhai de
hamdard hon ghayur hon aur pur-KHulus hon
ai karsaz bahnon ko ab aise bhai de
ye zindagi hai apni kabhi KHush kabhi udas
is kashmakash se mujh ko KHudaya rihai de
'zebi' ajib daur hai ye wahshaton ka daur
saya bhi apna maut ka saya dikhai de
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 112)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.