ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein
ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein
Zahid Masood
MORE BYZahid Masood
'ajab kyā hai rahe us paar bahte jugnuoñ kī raushnī tahlīl kī zad meñ
havā-e-be-vatan rakh le tulū-e-mehr kā ik zā.icha zambīl kī zad meñ
ġham-e-be-chehragī kā 'aks thā jis ne vajūd-e-sang ko mab.hūt kar Daalā
tarāshīñ silvaTeñ jūñhī ḳhad-o-ḳhāl-e-tahayyur aa ga.e tashkīl kī zad meñ
shab-e-va.ada fasīl-e-hijr se aage chamaktā hai tirā ism-e-sitāra-jū
ki jaise koī paivand-e-ridā-e-sub.h aa jaa.e kisī qindīl kī zad meñ
tamāshā.ī darīche meñ thiraktī surḳh āñkhoñ ke tilism-e-ḳhvāb meñ gum haiñ
magar sahmī huī kaTh-putliyoñ kī zindagī hai āḳhirī tamsīl kī zad meñ
mire naame tahī-mazmūn sahī phir bhī tirī lauh-e-muqaffal kī amānat haiñ
kabhī to aa.egī shakl-e-hurūf-e-nā-farastāda ḳhat-e-tāvīl kī zad meñ
'ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein
hawa-e-be-watan rakh le tulu-e-mehr ka ek zaicha zambil ki zad mein
gham-e-be-chehragi ka 'aks tha jis ne wajud-e-sang ko mabhut kar Dala
tarashin silwaTen junhi KHad-o-KHal-e-tahayyur aa gae tashkil ki zad mein
shab-e-wada fasil-e-hijr se aage chamakta hai tera ism-e-sitara-ju
ki jaise koi paiwand-e-rida-e-subh aa jae kisi qindil ki zad mein
tamashai dariche mein thirakti surKH aankhon ke tilism-e-KHwab mein gum hain
magar sahmi hui kaTh-putliyon ki zindagi hai aaKHiri tamsil ki zad mein
mere name tahi-mazmun sahi phir bhi teri lauh-e-muqaffal ki amanat hain
kabhi to aaegi shakl-e-huruf-e-na-farastada KHat-e-tawil ki zad mein
- Book : funoon-volume-21 (Pg. 370)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.