Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib baat hai din bhar ke ehtimam ke baad

Shaukat Wasti

ajib baat hai din bhar ke ehtimam ke baad

Shaukat Wasti

MORE BYShaukat Wasti

    ajiib baat hai din bhar ke ehtimām ke ba.ad

    charāġh ek bhī raushan huā na shaam ke ba.ad

    sunā.ūñ maiñ kise rūdād-e-shahr-e-nā-pursāñ

    ki ajnabī huuñ yahāñ muddatoñ qayām ke ba.ad

    ḳhirad aliil thī daur-e-sharāb se pahle

    qadam meñ aa.ī thī laġhzish shikast-e-jām ke ba.ad

    sitam-zarīfī-e-tārīḳh hai ki masnad-gīr

    sadā ḳhavās hue inqalāb-e-ām ke ba.ad

    habāb soch ke kyā ham-rikāb-e-mauj huā

    ki baiTh jaanā thā jab ek aadh gaam ke ba.ad

    rahe charāġh darīche meñ dar khulā rakhnā

    musāfir aan nikalte haiñ ba.az shaam ke ba.ad

    kabhī kabhī to ho 'shaukat' shadīd ye ehsās

    ki ham tuyūr qafas meñ paḌe haiñ daam ke ba.ad

    ajib baat hai din bhar ke ehtimam ke baad

    charagh ek bhi raushan hua na sham ke baad

    sunaun main kise rudad-e-shahr-e-na-pursan

    ki ajnabi hun yahan muddaton qayam ke baad

    KHirad alil thi daur-e-sharab se pahle

    qadam mein aai thi laghzish shikast-e-jam ke baad

    sitam-zarifi-e-tariKH hai ki masnad-gir

    sada KHawas hue inqalab-e-am ke baad

    habab soch ke kya ham-rikab-e-mauj hua

    ki baiTh jaana tha jab ek aadh gam ke baad

    rahe charagh dariche mein dar khula rakhna

    musafir aan nikalte hain baz sham ke baad

    kabhi kabhi to ho 'shaukat' shadid ye ehsas

    ki hum tuyur qafas mein paDe hain dam ke baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now